
ixigo’s new “Train Mein Hai Swag” video is breaking the internet. Watch it here
ixigo pays a tribute to Indian Railways with a celebratory rap video.
Check out the lyrics --
Dost bhai behen, sabke ghoomne ke plan dekho Ghumne ke plan mein hain train ke hi fan Dekho desh ke nazaare saare, bandh ke yeh bag Daud bhag kar yeh chadhein, kyunki train mein hai swag.
Train mein hai swag, kyun ki train mein hai swag
Chalo, Coolie coolie coolie ki awaaz mein hai coolness Samaan leke chadhein, window seat ki hai madness Lower middle side waale, fail ke yeh baithen sabhi Daalein check in facebook pe, sabko karke tag. Bhar ke lekar chalte, bag ek ho ya chaar Daalein faltu samaan, yahan space ki na maar Khel kud ka maidan, kiya bachon ne ailaan Koi baitha hai samaan ko bana ke bean bag.
Kyun ki train mein hai swag, kyuki train mein hai swag Ab desh mera ghumein, kyuki train mein hai swag
Khaana peena paani botal, sab milega seat par Tu Seat khol araam kar, safar to hai yeh raat bhar Dost hain to baat kar, akele mein kitaab padh Halla gulla gaane gaate karenge sab rap. Platform leke pahonche, sabko milne ki hai padi Kaha phunchi apni gaadi, kehte outer pe hai khadi, Ghumein phone leke smart, data pack ki yeh art Game Khelte, yeh dekhte, without any lag.
Kyun ki train mein hai swag, kyuki train mein hai swag Ab train mein hi ghumein, kyuki train mein hai swag
Train se hain yaadein sabki, Delhi ho ya Kerala Puri bhaji idli chutney, ghar se har koi le chala Halka fulka thoda jada, jitna jisko jo mila to stationon pe khane utarein, karke sabko drag. Yahan, Baat cheet, chaal dhal, desh ki anek sabhi Desh ki hi baat karein, train mein sab ek rehte Chai ki talaash mein, jeete kaun taash mein, Sheher kaunse kaunse ghumein sabko karna brag
Kyun ki train mein hai swag, kyuki train mein hai swag Ab desh mera ghumein, kyuki train mein hai swag
Chalta firta drawing room, yeh train mere desh ki Asli traveller whi, jo train se chale khi, Bache budhe ladka ladki, sabki hai security Train ki sawari sabki, sabka hai yeh flag
Kyuki Train mein hai swag, kyuki train mein hai swag Train mein hi ghumein, kyuki desh mein hai swag Train mein hai swag, kyuki train mein hai swag Ab train mein hi ghumein kyuki, desh mein hai swag

